
A Drunk Draft
Tu mujhe miss karti hai kya
Main to karta hun. Jitna karna chahiye usse bahut jyada.
Jab maine realize kia na ki main tere boundaries cross kar rha hun. Bahut bura laga. Aisa kucch nhi karna tha life me. Kisi ke liye bura aadmi nhi banna tha.
Kabhi kisi ke bare me bura nhi socha. Na sochna hai.
But unconsciously tere liye bura insaan ban gaya yaar.
I will regret this.
Kabhi call karna yaar. Kyunki aaj bhi tujhe utna hi chahta hun jitna march me tha, jitna feb me tha, jitna jan me tha, jitna December me tha, jitna August me tha jitna july me tha.
Mera pyaar kabhi khatam hi nhi hua yaar.